Monday, February 16, 2009

Ab Aur Bhala Kya Mage


Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange

Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee

Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho

Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye

Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab

Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange

Friday, February 6, 2009

Tere Bina Kuch Bhi Achha Nahi Lagta


Mil mil ke bicharrna mujhe accha nahi lagta

Per tum ko bhi paane ka raasta nahi milta
Tere khaloos-e- Mohabbat pe aetbaar hai itna

Siwa tere koi rishta sacha nahi lagta
Tu mera Pyaar meri zindagi mera sab kuch

Bina tere yeh jeewan to mujhe accha nahi lagta
Bohat mushkil se milte hain kisi ko chahne wale

Main jis ko chahta hoon woh mujhe hi nahi milta
Dil to kya Jaan bhi main us ko dedeta

Woh ek baar apne Pyaar ka izhaar to karta??..

Friday, January 23, 2009


Socha nahi Achcha bura, Dekha-Suna kuch bhi nahi,

Manga khuda se din raat, Tere siwa kuch bhi nahi,

Socha tujhe, dekha tujhe, chaha tujhe, puja tujhe,

meri wafa meri khata, teri khata kuch bhi nahi,

Jis par hamari ankh ne moti bichaye raat bhar,

Bheja wahi kagaj use, hamne likha kuch bhi nahi,

Ek shaam ki dahalij par bethe rahe wo der tak,

Ankhon se ki batein bahut, munh se kaha kuch bhi nahi,

Do char din ki baat hai, dil khak me so jayega,

Jab aang par kagaj rakha, baki bacha kuch bhi nahi,

Ehsas ki khushbu kahan, awaj ke jugnu kahan,

khamosh yadon ke siwa, ghar me raha kuch bhi nahi...

Monday, December 15, 2008

Wo Hame YAAD aye bahul


toot kar jo hum bikhrey to gabraye bahut

,teri bahho.n ke sahaarey yaad aaye bahut,

hatheli par rakh ashq, jo tumne choom liya,

hua afsos! Ab tak yeh moti ganvaye bahut,

muskil mein kyu koi haath na thaam saka,

kahne ko to dost humne bhi banaye bahut,

jane kaya tha uski udhaas si aanko.n mein,

woh jab bhi yaad aaye hain, rulaaye bahut,

umr-e-jawani apni kyuN tanha hi beet gaye,

yeh khalish abhi tak hai dil dukhaye bahut,

mazhabi junoon mein, sarhad bana daalii,

Phir apne faisley pe haiN pachtaye bahut,

kis kis ko batauN apnii udhaasi ka sabab,

ki “RAHUL” ko ek Ladki yaad aaye bahut.

Friday, December 12, 2008

Paya hi nahi


Jisko Chaha usko kabhi paya hi nahi..

Kho diya es kadar jaise koi jindagi me aaya hi nah..

Kaha the hos me jo khud ko sahara dete..

Bas yahi kafi tha ki gamo hi muskura dete...

Agar hoti hamare chehre pe darde dil ki Jalak..

Khuda ki kasam aaj hum ayino ko bhi rula dete...